BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Monday, November 9, 2009

Toheed

Hum muhabat main bhi tuheed k qail hain
ek he shaks ko mehboob banaye rakha ........
.

Sunday, November 8, 2009

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n
allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai

vo maathe kaa matalaa ho ki ho.nTho.n ke do misare
bachapan kii Gazal hii merii mahabuub rahii hai

Gazalo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saaye
jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai

ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghume
ai yaar magar terii galii terii galii hai

aa bhii jaao kii zindagii kam hai

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai
vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.
nshahar me.n aaj raushanii kam hai
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai
aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai
tere dam se hii mai.n mukammal huun
.bin tere terii 'Yamini' kam hai

aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai

aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai ,

dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahii.n hai ,

giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahii.n hai ,

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai ,

dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii
Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahii.n hai ,

qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahii.n hai ,


tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib'
terii qasam ka kuchh aitabaar nahii.n hai,,,,